Sukhe Hue Patton Mein Aawaz Ki KHushbu Hai
sukhe hue patton mein aawaz ki KHushbu hai
alfaz ke sahra mein taKHil ka aahu hai
jate hue suraj ki ek tirchhi nazar hi thi
tab sharm ka sindur tha ab hijr ka gesu hai
mashur faza kyun hai majbur saba kyun hai
rangon ke hisaron mein naghmat ka jadu hai
maujon se ulajhna kya tufan se guzarna kya
har Dubne wale ko ehsas-e-lab-e-ju hai
is daur-e-KHirad mein bhi ai kash ye mumkin ho
tu soche ki bas main hun main samjhun ki bas tu hai
kab aankh jhapak jae taswir badal jae
har lamha subuk-rau hai har jalwa tunuk-KHu hai
bazar-e-tamanna ki har chiz hi nazuk hai
ajnas-e-gham-e-dil hain palkon ki taraazu hai
(1194) Peoples Rate This