KHwab-gahon Se Azan-e-fajr Takraati Rahi
KHwab-gahon se azan-e-fajr Takraati rahi
din chaDhe tak KHamushi mimbar pe chillati rahi
ek lamhe ki KHata phaili to sari zindagi
chubhte zarre kanch ke palkon se chunwati rahi
kab yaqin tha koi aaega magar zalim hawa
band darwaze ko dastak de ke khulwati rahi
lams-e-harf-o-saut ki lazzat se waqif thi magar
pahlu-e-awaz mein taKHil sharmati rahi
suraten aisi ki jin ke ek tasawwur se 'zahir'
jism ke dariya ki ek ek mauj bal khati rahi
(1213) Peoples Rate This