Han Wo Main Hi Tha Ki Jis Ne KHwab Dhoya Subh Tak
han wo main hi tha ki jis ne KHwab Dhoya subh tak
kaun tha wo jo mere bistar pe soya subh tak
raat bhar kamre mein main dubka raha aur aasman
meri furqat mein mere aangan mein roya subh tak
balb raushan tha andhere ko ijazat thi nahin
phir bhi wo bistar ke niche KHub soya subh tak
log akDi piTh le kar daftaron se chal paDe
mez kursi ko mila aaram goya subh tak
chandni shabnam hawa ki barchhiyan chalne ko hain
din gae kyun aae ho jao ruko ya subh tak
itne chehron mein mujhe hai ek chehre ki talash
jis ko main ne kho ke paya pa ke khoya subh tak
hijr ki shab un ki aamad ke tasawwur mein 'zahir'
muntazir aaankhon ne daman hi bhigoya subh tak
(1063) Peoples Rate This