Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6dc663f346115726fe7cd9b1828d987e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Be-barg-o-bar Rah Mein Sukhe DaraKHt The - Zaheer Siddiqui Poetry In English - Darsaal

Be-barg-o-bar Rah Mein Sukhe DaraKHt The

be-barg-o-bar rah mein sukhe daraKHt the

manzil tah-e-qadam hui hum tez-baKHt the

hamle chahaar samt se hum par hue magar

andar se war jitne hue zyaada saKHt the

the peD par to mujh ko bahut KHushnuma lage

toDe to jitne phal the kasile karaKHt the

soe to yaad qaus-e-quzah mein simaT gai

jage to jitne rang the wo laKHt laKHt the

sar to chhupaen koi kirae ki chhat mile

yun is qadam ki zad mein kabhi taj-o-taKHt the

(1075) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-barg-o-bar Rah Mein Sukhe DaraKHt The In English By Famous Poet Zaheer Siddiqui. Be-barg-o-bar Rah Mein Sukhe DaraKHt The is written by Zaheer Siddiqui. Read famous Poem Be-barg-o-bar Rah Mein Sukhe DaraKHt The for youth and Student by Zaheer Siddiqui. Free Download Be-barg-o-bar Rah Mein Sukhe DaraKHt The in PDF.