Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bd72bb4c8b418a2865f47a18701a8938, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Zard Gulabon Ki KHatir Bhi Rota Hai - Zaheer Rahmati Poetry In English - Darsaal

Zard Gulabon Ki KHatir Bhi Rota Hai

zard gulabon ki KHatir bhi rota hai

kaun yahan par maile kapDe dhota hai

jis ke dil mein hariyali si hoti hai

sab ke sar ka bojh wahi to Dhota hai

sathi logon mein gahrai hoti hai

ye Dube to pani gahra hota hai

sadiyon mein koi ek mohabbat hoti hai

baqi to sab khel tamasha hota hai

dukh hota hai waqt-e-rawan ke Thaharne se

KHush hone ko wahi bahana hota hai

sharmate rahte hain gahre log sabhi

dariya bhi to pani pani hota hai

nur Tapakta hai zalim ke chehre se

dekho to lagta hai koi sota hai

(957) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zard Gulabon Ki KHatir Bhi Rota Hai In English By Famous Poet Zaheer Rahmati. Zard Gulabon Ki KHatir Bhi Rota Hai is written by Zaheer Rahmati. Read famous Poem Zard Gulabon Ki KHatir Bhi Rota Hai for youth and Student by Zaheer Rahmati. Free Download Zard Gulabon Ki KHatir Bhi Rota Hai in PDF.