Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6674ecc1cf128711ac691f9aefe4d812, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dil Laga Kar PaDhai Karte Rahe - Zaheer Rahmati Poetry In English - Darsaal

Dil Laga Kar PaDhai Karte Rahe

dil laga kar paDhai karte rahe

umr bhar imtihan se Darte rahe

ek adna sawab ki KHatir

jaane kitne gunah karte rahe

jaan par kaun dam nahin deta

surat aisi thi log marte rahe

koi bhi rah par nahin aaya

hadse hi yahan guzarte rahe

hairaten hairaton pe warafta

jhil mein Dubte ubharte rahe

aaKHirash hum bhi itna sukh gae

log dariya ko par karte rahe

kya na tha is jahan mein aaKHir

hum bhi kya hi talash karte rahe

aaKHir ezaz us ne baKHsh diya

kaisa KHud ko zalil karte rahe

(2630) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Laga Kar PaDhai Karte Rahe In English By Famous Poet Zaheer Rahmati. Dil Laga Kar PaDhai Karte Rahe is written by Zaheer Rahmati. Read famous Poem Dil Laga Kar PaDhai Karte Rahe for youth and Student by Zaheer Rahmati. Free Download Dil Laga Kar PaDhai Karte Rahe in PDF.