Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0421a81351c661d15eb54e69681bfa73, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aaine Madd-e-muqabil Ho Gae - Zaheer Rahmati Poetry In English - Darsaal

Aaine Madd-e-muqabil Ho Gae

aaine madd-e-muqabil ho gae

darmiyan hum un ke hail ho gae

kuchh na hote hote ek din ye hua

saikDon sadiyon ka hasil ho gae

kashtiyan aa kar gale lagne lagin

Dub kar aaKHir ko sahil ho gae

aur ehsas-e-jihaalat baDh gaya

kis qadar paDh likh ke jahil ho gae

apni apni rah chalne wale log

bhiD mein aaKHir ko shamil ho gae

tandurusti zaKHm-e-kari se hui

ye hua sharminda qatil ho gae

husn to pura adhure-pan mein hai

sab adhure mah-e-kaamil ho gae

(984) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaine Madd-e-muqabil Ho Gae In English By Famous Poet Zaheer Rahmati. Aaine Madd-e-muqabil Ho Gae is written by Zaheer Rahmati. Read famous Poem Aaine Madd-e-muqabil Ho Gae for youth and Student by Zaheer Rahmati. Free Download Aaine Madd-e-muqabil Ho Gae in PDF.