Wo Ek Jhalak Dikha Ke Jidhar Se Nikal Gaya
wo ek jhalak dikha ke jidhar se nikal gaya
itni tapish baDhi ki zamana pighal gaya
ab dil se kuchh kaho to ye dil manta nahin
ai iltifat-e-yar tera war chal gaya
har bazm us nigah ke girdab mein rahi
har daur us mizaj ke sanche mein Dhal gaya
ab to junun bhi us ki taraf khinchta nahin
andha rafiq-e-kar bhi aankhen badal gaya
wo dur tha to hijr ki garmi se the niDhaal
wo aa gaya to hijr ka mausam nikal gaya
sune paDe hain dil ke dar-o-baam ai 'zahir'
lahore jab se chhoD ke jaan-e-ghazal gaya
(1269) Peoples Rate This