Wo Aksar Baaton Baaton Mein Aghyar Se Puchha Karte Hain
wo aksar baaton baaton mein aghyar se puchha karte hain
ye sar-ba-gireban diwane kis shai ka taqaza karte hain
ek din tha ki sahil par baiThe tufan pe tabassum karte the
ab mayusi ke aalam mein sahil ka tamasha karte hain
KHatra hai wafa ke luTne ka majburi-e-dil bhi lazim hai
jine ki tamanna karte hain marne ka taqaza karte hain
masum sitamgar ki baaten mazlum ada ke afsane
yun raat basar ho jati hai yun dil ka mudawa karte hain
jab nadani ka aalam tha hasil ki tamanna karte the
ab dil mein aag lagate hain shoalon ka tamasha karte hain
apne mein rahe to ruswai apne se gae to saudai
hum muddat se diwangi-e-duniya ka tamasha karte hain
(1125) Peoples Rate This