Tu Agar Ghair Hai Nazdik-e-rag-e-jaan Kyun Hai
tu agar ghair hai nazdik-e-rag-e-jaan kyun hai
na-shanasa hai to phir mahram-e-pinhan kyun hai
hijr ke daur mein har daur ko shamil kar len
is mein shamil yahi ek umr-e-gurezan kyun hai
aaj ki shab to bujha rakkhe hain yaadon ke charagh
aaj ki shab meri palkon pe charaghan kyun hai
aur bhi log hain maujud bayabanon mein
dast-e-wahshat mein faqat mera gireban kyun hai
dil to muddat se kaDi dhup mein jalta hai 'zahir'
aag barsata hua abr-e-bahaaran kyun hai
(1144) Peoples Rate This