Teri Chashm-e-tarab Ko Dekhna PaDta Hai Pur-nam Bhi
teri chashm-e-tarab ko dekhna paDta hai pur-nam bhi
mohabbat KHanda-e-be-bak bhi hai girya-e-gham bhi
thakan tere badan ki uzr koi DhunDh hi leti
hadis-e-mahfil-e-shab kah rahi hai zulf barham bhi
ba-qadr-e-dil yahan se shola-e-jaan-saz milta hai
charagh-e-husn ki lau shoKH bhi hai aur maddham bhi
meri tanhaiyon ki dil-kashi teri bala jaane
meri tanhaiyon se pyar karta hai tera gham bhi
bahaaron ke ghazal-KHwan aaj ye mahsus karte hain
pas-e-diwar-e-gul roti rahi hai chashm-e-shabnam bhi
qarib aate magar kuchh fasla bhi darmiyan rahta
kami ye rah gai hai bawajud-e-rabt-e-baham bhi
'zahir' un ko hamare dil ki har shoKHi gawara thi
unhen karna paDega ab hamare dil ka matam bhi
(1153) Peoples Rate This