Talab Aasudgi Ki Arsa-e-duniya Mein Rakhte Hain
talab aasudgi ki arsa-e-duniya mein rakhte hain
umid-e-fasl-e-gul hai aur qadam sahra mein rakhte hain
hue hain is qadar manus hum paiman-e-farda se
ki ab dil ka safina hijr ke dariya mein rakhte hain
bashar ko dekhiye ba-in-hama sahil pe marta hai
hubab apna asasa sail-e-be-parwa mein rakhte hain
hamare pas koi gardish-e-dauran nahin aati
hum apni umr-e-fani saghar-o-mina mein rakhte hain
hamein har gam par milta raha ezaz-e-mahrumi
waqar apna bahut hum dida-e-dunia mein rakhte hain
umidon ke khanDar mayusiyon ke dam-ba-KHud sae
baDi hi raunaqen hum is dil-e-tanha mein rakhte hain
hamare daur ke insan KHud apni hi zid nikle
talab mazi ki hoti hai qadam farda mein rakhte hain
'zahir' in dil-zadon ki azmaten dekho ye parwane
charagh-e-ishq raushan wadi o sahra mein rakhte hain
(1139) Peoples Rate This