Shab-e-mahtab Bhi Apni Bhari-barsat Bhi Apni
shab-e-mahtab bhi apni bhari-barsat bhi apni
tumhaare dam-qadam se zindagi thi zindagi apni
yahan pabandi, naraazi, jununi baat hai warna
jamal-e-yar se kuchh kam nahin tabindagi apni
mujhe shadabi-e-sahne-e-chaman se KHauf aata hai
yahi andaz the jab luT gai thi zindagi apni
tumhaara gham ise aashob-e-sarasar bachae ga
hawaon se bhaDak uTThi hai sham-e-zindagi apni
magar tum bhi to ek bu-e-gurezan ki tarah nikle
guzarne ko guzar jati bahaar-e-dosti apni
zahir is chashm-e-awwal pe yunhi mahsus hota hai
baDi muddat se hai jaise kisi se dosti apni
(1146) Peoples Rate This