Shab-e-gham Yaad Unki Aa Rahi Hai
shab-e-gham yaad un ki aa rahi hai
charagh-e-dil ki lau tharra rahi hai
bayan-e-dost naseh ki zaban se
tabiat aur machli ja rahi hai
kahan naqsh-e-kaf-e-pa DhunDte ho
sada-e-pa to dil se aa rahi hai
baDe dil-kash hain duniya ke KHam o pech
nazar mein zulf si lahra rahi hai
hui muddat ki dil aatish-zada tha
fughan se aaj tak aanch aa rahi hai
shab-e-wada KHayalon ke ufuq par
gurezan si ziya tharra rahi hai
mohabbat ko kahan tab-e-nazara
jawani aap hi sharma rahi hai
sukut-e-sham ki pahnaiyon se
sada us ajnabi ki aa rahi hai
(1077) Peoples Rate This