Parwana Jal Ke Sahab-e-kirdar Ban Gaya
parwana jal ke sahab-e-kirdar ban gaya
lekin jamal-e-shama gunahgar ban gaya
hum dil-zade jo sair-e-chaman ko nikal paDe
har phul dast-e-shaKH mein talwar ban gaya
imshab tulu-e-yar ka manzar ajib tha
baam-e-buland matla-e-anwar ban gaya
ai mahwashan-e-shahr meri bandagi karo
main KHud sanwar ke aks-e-ruKH-e-yar ban gaya
wo daur the nazar pe hijab-e-ghurur tha
wo chal diye main dida-e-bedar ban gaya
jab KHamushi hi bazm ka dastur ho gai
main aadmi se naqsh-ba-diwar ban gaya
mahsus kar raha hun ki tanha hun in dinon
har shahar garche misr ka bazar ban gaya
jis ham-nafas ko mujh se mata-e-wafa mili
wo ham-nafas mera hi KHaridar ban gaya
(1353) Peoples Rate This