Mera Hi Ban Ke Wo But Mujhse Aashna Na Hua
mera hi ban ke wo but mujh se aashna na hua
wo be-niyaz tha itna to kyun KHuda na hua
shikan hamesha jabin par rahe to aadat hai
mujhe yaqin hai wo mujh se kabhi KHafa na hua
tamam umr teri ham-rahi ka shauq raha
magar ye ranj ki main mauja-e-saba na hua
hijab-e-husn se baDhti hai war-e-uryani
yahi sabab hai main aazurda-e-haya na hua
nashat-e-hijr ka KHugar bana diya hota
jafa-e-yar se itna bhi haq ada na hua
hayat-o-hijr ka KHud main ne intiKHab kiya
main qaid kab tha jo main qaid se riha na hua
dayar-e-dard mein dil ne bahut talash kiya
nasib-e-ishq magar tera naqsh-e-pa na hua
'zahir' soz-e-darun bhi ajab karishma hai
main dur rah ke bhi us se kabhi juda na hua
(1203) Peoples Rate This