Mausam Badla Rut Gadrai Ahl-e-junun Bebak Hue
mausam badla rut gadrai ahl-e-junun bebak hue
fasl-e-bahaar ke aate aate kitne gireban chaak hue
gul-buTon ke rang aur naqshe ab to yunhi miT jaenge
hum ki farogh-e-subh-e-chaman the paband-e-fitrak hue
mohr-e-taghayyur is dhaj se aafaq ke mathe par chamkao
sadiyon ke uftada zarre ham-dosh-e-aflak hue
dil ke gham ne dard-e-jahan se mil ke baDa bechain kiya
pahle palken pur-nam thin ab aariz bhi namnak hue
kitne alhaD sapne the jo dur sahar mein TuT gae
kitne hansmukh chehre fasl-e-bahaaran mein ghamnak hue
barq-e-zamana dur thi lekin mishal-e-KHana dur na thi
hum to 'zahir' apne hi ghar ki aag mein jal kar KHak hue
(3638) Peoples Rate This