Marna Azab Tha Kabhi Jina Azab Tha
marna azab tha kabhi jina azab tha
mera mushir ishq sa KHana-KHarab tha
dil mar miTa tilawat-e-ruKHsar-e-yar mein
marhum tiflagi se hi ahl-e-kitab tha
socha to is habib ko paya qarib-e-jaan
dekha to aastin mein chhupa aaftab tha
wo bargah meri wafa ka jawaz thi
is aastan ki KHak mera hi shabab tha
meri har ek subh thi aaghosh-e-dilbari
meri har ek sham ka unwan sharab tha
dil bhi sanam-parast nazar bhi sanam-parast
is aashiqi mein KHana hama aaftab tha
kab is siyah-baKHt ne chhoDa kisi ka sath
dasht-e-junun mein saya mera ham-rikab tha
tu kab maal-e-jaur-o-jafa ko samajh saka
tera jamal tere liye bhi hijab tha
jis daur ko faqih ne isyan samajh liya
us daur mein to pi ke bahakna sawab tha
wo husn kis qadar adab-amoz tha 'zahir'
qad KHama-e-rawan tha to chehra kitab tha
(1146) Peoples Rate This