Main Hun Wahshat Mein Gum Main Teri Duniya Mein Nahin Rahta
main hun wahshat mein gum main teri duniya mein nahin rahta
bagula raqs mein rahta hai sahra mein nahin rahta
baDi muddat se tera husn dal bin kar dhaDakta hai
baDi muddat se dil teri tamanna mein nahin rahta
ye pani hai magar mizhgan ki shaKHon par sulagta hai
ye moti hai magar daman-e-dariya mein nahin rahta
wo jalwa jo sukut-e-bazm-e-yaktai mein rahta hai
wo jalwa shorish-e-pinhan-o-paida mein nahin rahta
na koi mauj-e-ranai na koi sail-e-zebai
koi tufan bhi ab chashm-e-tamasha mein nahin rahta
ajab kya la-makan ko ek naya zindan samajh baiThe
ye diwana had-e-imroz-o-farda mein nahin rahta
'zahir' ek rishta-e-wahshat liye phirta hai majnun ko
wagarna koi apne aap sahra mein nahin rahta
(1611) Peoples Rate This