Lauh-e-mazar Dekh Ke Ji Dang Rah Gaya
lauh-e-mazar dekh ke ji dang rah gaya
har ek sar ke sath faqat sang rah gaya
badnam ho ke ishq mein hum surKH-ru hue
achchha hua ki nam gaya nang rah gaya
hoti na hum ko saya-e-diwar ki talash
lekin muhit-e-zist bahut tang rah gaya
sirat na ho to aariz-o-ruKHsar sab ghalat
KHushbu uDi to phul faqat rang rah gaya
apne gale mein apni hi banhon ko Daliye
jine ka ab to ek yahi Dhang rah gaya
kitne hi inqalab shikan-dar-shikan mile
aaj apni shakl dekh ke main dang rah gaya
taKHil ki hadon ka tayyun na ho saka
lekin muhit-e-zist bahut tang rah gaya
kal kaenat-e-fikr se aazad ho gai
insan misal-e-dast-e-tah-e-sang rah gaya
hum un ki bazm-e-naz mein yun chup hue 'zahir'
jis tarah ghuT ke saz mein aahang rah gaya
(1100) Peoples Rate This