Kuchh Bas Na Chala Jazba-e-KHud-kaam Ke Aage
kuchh bas na chala jazba-e-KHud-kaam ke aage
jhukna hi paDa us but-e-badnam ke aage
ek aur bhi hasrat hai pas-e-hasrat-e-didar
ek aur bhi aaghaz hai anjam ke aage
aa aur idhar koi tajalli ki kiran phenk
baiThe hain gada tere dar-o-baam ke aage
ye ishq hai bazicha-e-atfal nahin hai
kuchh aur bhi hai kucha-e-asnam ke aage
yun un ki jafaon se mili hum ko basirat
hum jhuk na sake gardish-e-ayyam ke aage
din Dhalne laga dil-zadagan dil ki KHabar lo
ek silsila-e-hijr bhi hai sham ke aage
ab kuchh bhi nahin hasil-e-tadbir-e-mohabbat
ab kuchh bhi nahin nama-o-paigham ke aage
ek sehr sa tari tha 'zahir' ahl-e-KHirad par
the mohr-ba-lab husn-e-dil-aram ke aage
(1022) Peoples Rate This