Ishq Ek Hikayat Hai Sarfarosh Duniya Ki
ishq ek hikayat hai sarfarosh duniya ki
hijr ek masafat hai be-nigar sahra ki
un ke ru-ba-ru nikle nutq o lafz be-mani
baat hi ajab lekin KHamushi ne paida ki
waqt ke tasalsul mein hum ba-rang-e-shoala the
umr-e-yak-nafas mein bhi raushni the duniya ki
hum ko sahal-angari gharq kar chuki hoti
himmat-afrin nikli lahar lahar dariya ki
yun to wo farokash the jada-e-rag-e-jaan mein
mawara-e-imkan thi raushni kaf-e-pa ki
sham-e-mahfil-e-yak-shab aur tul-e-fikr itna
kaun shaKHs tha jis ne aarzu-e-farda ki
hum bhi hain niko-surat hum bhi nek-sirat hain
hum ne bandagi ki hai ek jamal-e-rana ki
(1024) Peoples Rate This