Hijr O Visal Ki Sardi Garmi Sahta Hai
hijr o visal ki sardi garmi sahta hai
dil darwesh hai phir bhi raazi rahta hai
phul se itna rabt baDhana Thik nahin
qatra-e-shabnam uDte uDte kahta hai
is kuTiya ko Dhane wale ghaur se sun
is kuTiya mein tera dhyan bhi rahta hai
har aansu mein aatish ki aamezish hai
dil mein shayad aag ka dariya bahta hai
mujh se bichhaD kar pahron roya karta tha
wo jo mere haal pe hansta rahta hai
dil ko shayad fasl-e-bahaaran ras nahin
bagh mein rah kar KHushbu ke dukh sahta hai
main ne us ko apna masiha man liya
sara zamana jis ko qatil kahta hai
tara tara hijr ke qissa phaile hain
aansu aansu dil ka sagar bahta hai
un honTon se yun risti hai baat 'zahir'
jaise ek naghmon ka jharna bahta hai
(1020) Peoples Rate This