Har Rose Hi Imroz Ko Farda Na Karoge
har rose hi imroz ko farda na karoge
wada ye karo phir kabhi wada na karoge
ye man liya ahd-e-wafa bhul chuke ho
kya bhul ke bhi tum hamein chaha na karoge
mahfil se hi uTh jaenge hum aise qaba-chaak
wahshat ka hamari kabhi shikwa na karoge
achchha tha ki jab aariza-e-hijr nahin tha
achchha hai ki ab tum kabhi achchha na karoge
jis raaz mein shamil hai hamara bhi fasana
us raaz ko kya hum pe bhi ifsha na karoge
mar jaega dil hasrat-e-anwar-e-sahar mein
be-parda agar tum ruKH-e-zeba na karoge
kya aur na tha tark-e-talluq ka bahana
sunte hain ki ab tum hamein ruswa na karoge
samjho to 'zahir' un ki nigahon ke ishaare
kya aaj bhi izhaar-e-tamanna na karoge
(1146) Peoples Rate This