Hain Bazm-e-gul Mein Bapa Nauha-KHwaniyan Kya Kya
hain bazm-e-gul mein bapa nauha-KHwaniyan kya kya
bahaar chhoD gai hai nishaniyan kya kya
tamam umr gul-o-mul ke darmiyan guzri
tamam umr rahin sar-giraniyan kya kya
wo shaKHs-e-itr-badan jab bhi samne aaya
dil-o-nazar pe huin gul-o-fashaniyan kya kya
KHabar na thi yahi wajh-e-sukun-e-jaan hogi
nigah-e-yar se thin bad-gumaniyan kya kya
Tapak ke aankh se tufan uTha diye jis ne
is ek ashk mein thin be-karaniyan kya kya
huzur-e-yar se jab izn-e-guftugu na mila
suKHan-taraaz huin be-zabaniyan kya kya
har ek dard ko darman bana diya us ne
jafa ke bhes mein thin mehrbaniyan kya kya
wo husn aaj bhi hila-gari mein yakta hai
dil-e-gharib sunega kahaniyan kya kya
us ek jamal-e-gurezan ki justuju mein 'zahir'
KHarab-o-KHwar hui hain jawaniyan kya kya
(1058) Peoples Rate This