Firaq-e-yar Ke Lamhe Guzar Hi Jaenge
firaq-e-yar ke lamhe guzar hi jaenge
chaDhe hue hain jo dariya utar hi jaenge
tamam raat dar-e-mai-kada pe kaTi hai
sahar qarib hai ab apne ghar hi jaenge
tu mere haal-e-pareshan ka kuchh KHayal na kar
jo zaKHm tu ne lagae hain bhar hi jaenge
miyan-dar-o-shabistan-e-yar baiThe hain
jidhar ishaara-e-dil ho udhar hi jaenge
julus-e-naz kabhi to idhar se guzrega
kabhi to dil ke muqaddar sanwar hi jaenge
yahi rahega jo andaza-e-na-shanasai
tumhaare chahne wale to mar hi jaenge
abhi chhiDi bhi na thi dastan-e-ahd-e-wafa
kise KHabar thi ki wo yun mukar hi jaenge
jamal-e-yar ki nadida KHalwaton mein 'zahir'
agar gae to ye aashufta-sar hi jaenge
(1955) Peoples Rate This