Ek ShaKHs Raat Band-e-qaba Kholta Raha
ek shaKHs raat band-e-qaba kholta raha
shab ki siyahiyon mein shafaq gholta raha
tanhaiyon mein aati rahi jab bhi us ki yaad
saya sa ek qarib mere Dolta raha
husn-e-bahaar KHub magar dida-e-bahaar
moti chaman ki KHak pe kyun rolta raha
us ne sukut ko bhi takallum samajh liya
kuchh is ada-e-KHas se dil bolta raha
hijran ki raat mashghala-e-dil se puchhiye
us zulf-e-KHam-ba-KHam ki girah kholta raha
hum kushtagan-e-KHwab giran-gosh hi rahe
suraj saron pe waqt-e-sahar bolta raha
is rah-e-jazb se bhi guzarna paDa 'zahir'
jis rah mein KHirad ka qadam Dolta raha
(1084) Peoples Rate This