Ab Hai Kya Lakh Badal Chashm-e-gurezan Ki Tarah
ab hai kya lakh badal chashm-e-gurezan ki tarah
main hun zinda tere TuTe hue paiman ki tarah
koi dastak koi aahaT na shanasa aawaz
KHak uDti hai dar-e-dil pe bayaban ki tarah
tu meri zat meri ruh mera husn-e-kalam
dekh ab to na badal gardish-e-dauran ki tarah
main ne jab ghaur se dekha to wo patthar nikla
warna wo husn nazar aata tha insan ki tarah
ab main kis naz pe kah dun ki use kar le qubul
dil to sad-chaak hai muflis ke gareban ki tarah
abhi kuchh kar-e-mohabbat hai mujhe duniya mein
zindagi KHatm na ho sohbat-e-yaran ki tarah
main teri bazm se nikla tha nazar ki ki surat
ab na yun dekh mujhe dida-e-hairan ki tarah
barq ban kar mere KHirman ko jalane wale
tu hi barsa tha kabhi abr-e-bahaaran ki tarah
(1173) Peoples Rate This