Aariz-e-shama Pe Nind Aa Gai Parwanon Ko
aariz-e-shama pe nind aa gai parwanon ko
KHwab se ab na jagae koi diwanon ko
un ko malum hai rindon ki tamanna kya hai
aks-e-ruKH Dal ke bhar dete hain paimanon ko
ai dil-e-zar udhar chal ye tazabzub kya hai
wo to aankhon pe uTha lete hain mehmanon ko
wo bhi mutlashi-e-yak-jalwa-e-gum-gashta hain
hum ne nazdik se dekha hai pari-KHanon ko
ho gae saf ayan ruh-o-badan ke nasur
raushni mar gai aaj ke insanon ko
un ke har chaak se tanwir-e-wafa phuTegi
jashn-e-farda mein sajaenge garebanon ko
qalam-e-dar se tahrir-e-rasan se hum ne
ek naya moD diya ishq ke afsanon ko
josh dariya ke qarain ye batate hain 'zahir'
mauj kha jaegi sahil ke shabistanon ko
(1104) Peoples Rate This