Aaj Ki Tanhai Se Niklo Kal Ki Aabaadi Mein Aao
aaj ki tanhai se niklo kal ki aabaadi mein aao
jaanan ki turbat se uTTho dauran ko sine se lagao
KHub nahin ye tarz-e-takalluf aaj taaruf ho jaane do
main bhi apne sar ko jhukaun tum bhi apni tegh uThao
TeDhi narden ulTe KHane madd-e-muqabil be-uslub
ye chausar ka khel bhi kya hai chaal chalo to munh ki khao
tum hi qatil tum hi munsif phir bhi mujhe afsos nahin
aaKHir mere dil mein kya hai bujh sako to baat batao
dil ka virana bhi wahi hai teri tamanna bhi hai wahi
zulmat mein raushan hai sitara sahra mein jalta hai alao
(1058) Peoples Rate This