Har Ghazal Har Sher Apna Istiara-ashna
har ghazal har sher apna istiara-ashna
fasl-e-gul mein jaise shaKH-e-gul sharara-ashna
KHun thuka dil jalaya naqd-e-jaan qurban ki
shahr-e-fan mein main raha kitna KHasara-ashna
kah gaya apni nazar se an-kahe qisse bhi wo
bazm-e-harf-o-saut mein jo tha ishaara-ashna
apne TuTe shahparon ke nauhagar to the bahut
dasht-e-fan mein tha na koi sang-e-KHara-ashna
umr bhar biphri hui maujon se jo laDta raha
wo samundar to azal se tha kinara-ashna
(1141) Peoples Rate This