Har Aadmi Ko KHwab Dikhana Muhaal Hai
har aadmi ko KHwab dikhana muhaal hai
shoalon mein jaise phul khilana muhaal hai
kaghaz ki naw bhi hai khilaune bhi hain bahut
bachpan se phir bhi hath milana muhaal hai
insan ki shakl hi mein darinde bhi hain magar
har aks aaine mein dikhana muhaal hai
mushkil nahin utarna suraj ko thaal mein
lekin charagh us se jalana muhaal hai
ek bar KHud jo lafzon ke pinjre mein aa gaya
us tair-e-nawa ko uDana muhaal hai
apne lahu ki bhenT chaDhane ke baad bhi
qadron ki har fasil tak aana muhaal hai
ta-umr apni fikr o riyazat ke bawajud
KHud ko kisi saza se bachana muhaal hai
(1084) Peoples Rate This