Aaine Mein KHud Apna Chehra Hai
aaine mein KHud apna chehra hai
phir bhi kyun ajnabi sa lagta hai
jis pe insaniyat ko naz tha kal
ab wo sab se baDa darinda hai
fikr bhi hai ajib sa jangal
jis ka mausam badalta rahta hai
kaise apni giraft mein aae
aagahi ek basit dariya hai
is mein zulmat panap nahin sakti
zehn suraj ki tab rakhta hai
wo samajhta hai aaine ki bisat
jis ne patthar kabhi tarasha hai
kya hamari wafa-shiari se
har jagah intishaar barpa hai
(1056) Peoples Rate This