Jamal Pa Ke Tab-o-tab-e-gham Yagana Hua Hai

jamal pa ke tab-o-tab-e-gham yagana hua hai

mere liye ye zar-e-gul charagh-e-KHana hua hai

ram-e-KHayal harif-e-ram-e-zamana hua hai

tulu-e-subh-e-tamanna payambarana hua hai

nayan mein dil ki gulabi ka aks jhum raha hai

dukhon ki dhum hai aalam sharab-KHana hua hai

bas ek jot jagi hai kahin koi bhi nahin hai

mizaj-e-wasl ba-har-rang-e-arifana hua hai

kuchh aur dhup mere gham kuchh aur ashk jhama-jham

ghana hua hai ye jangal to shamiyana hua hai

mere nigar-e-gurezan tujhe main kaise bhula dun

ki tu parastish-e-asnam ka bahana hua hai

jagat jagat mere ji ko junun uDae phire hai

teri tarah tera gham aafat-e-zamana hua hai

ye chhanw chhanw na rowo 'zahir' dil ko sambhaalo

Dhali hai sham magar yun koi diwana hua hai

(876) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jamal Pa Ke Tab-o-tab-e-gham Yagana Hua Hai In English By Famous Poet Zaheer Fatehpuri. Jamal Pa Ke Tab-o-tab-e-gham Yagana Hua Hai is written by Zaheer Fatehpuri. Read famous Poem Jamal Pa Ke Tab-o-tab-e-gham Yagana Hua Hai for youth and Student by Zaheer Fatehpuri. Free Download Jamal Pa Ke Tab-o-tab-e-gham Yagana Hua Hai in PDF.