Ab Dard Be-dayar Hai Aur Jag-hansai Hai

ab dard be-dayar hai aur jag-hansai hai

is ishq ne bhi kaisi jawan maut pai hai

baadal hain dal ke dal koi rauzan kahin nahin

ab chhawni ghamon ne falak par bhi chhai hai

ruKHsat ke baad tere sarape se mawara

ye kaun si ada hai jo ab yaad aai hai

aai jo sar pe dhup lage KHema-e-KHayal

tum ho jabhi to waqt ko yun nind aai hai

chup ho gaya hai dil sa fasana-nigar bhi

tanhai ek rahi thi so wo bhi parai hai

kya ab kabhi junun ka bulawa na aaega

sahra ki KHak uD ke KHayaban mein aai hai

jo guzre gham ko KHud mein samoe rahenge hum

hum ne 'zahir' jine ki saugand khai hai

(1082) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Dard Be-dayar Hai Aur Jag-hansai Hai In English By Famous Poet Zaheer Fatehpuri. Ab Dard Be-dayar Hai Aur Jag-hansai Hai is written by Zaheer Fatehpuri. Read famous Poem Ab Dard Be-dayar Hai Aur Jag-hansai Hai for youth and Student by Zaheer Fatehpuri. Free Download Ab Dard Be-dayar Hai Aur Jag-hansai Hai in PDF.