Wo JhuTa Ishq Hai Jis Mein Fughan Ho
wo jhuTa ishq hai jis mein fughan ho
wo kachchi aag hai jis mein dhuan ho
adu tum se tum un se bad-guman ho
tumhaare wo tum un ke pasban ho
bhala tum aur mujh par mehrban ho
inayat ye nasib-e-dushmanan ho
mera haal aur phir mera bayan ho
ajab kya gar adu bhi ham-zaban ho
kahen kis se KHudi mein tum kahan ho
gila jab ho ki qabu mein zaban ho
tumhaari be-ruKHi shikwe hamare
qayamat tak na puri dastan ho
zaban bahki hui hairan nigahen
KHayal-e-dil kahan hai tum kahan ho
maza jab aae un se guftugu ka
payami ka dahan meri zaban ho
kashida kyun na ho bazar-e-yusuf
ki jab tum sa mata-e-karwan ho
kahun kya raaz-e-dil kyun kar ho bawar
ki tum sa hi tumhaara raaz-dan ho
abhi se kis liye dil chhoD baiThen
jahan tak ho sake aah-o-fughan ho
(1121) Peoples Rate This