Saqiya Mar Ke UThenge Tere Mai-KHane Se
saqiya mar ke uThenge tere mai-KHane se
ahd-o-paiman hain yahi zist mein paimane se
tu kahan aai mera dard baTane ke liye
ai shab-e-hijr nikal ja mere gham-KHane se
kaun hota hai musibat mein kisi ka dil-soz
uTh gai shama bhi jal kar mere kashane se
kuchh yahi kohkan-o-qais pe guzri hogi
milti-julti hai kahani mere afsane se
jubba-farsa-e-dar-e-kaba the kal tak to 'zahir'
girte paDte hue aaj aate hain maiKHane se
(1100) Peoples Rate This