ranj rahat-asar na ho jae
dard ka dil mein ghar na ho jae
munh chhupana paDe na dushman se
ai shab-e-gham sahar na ho jae
kufr manzur hai mujhe dil se
wo musalman agar na ho jae
hath uljha rahe gareban mein
chaak daman udhar na ho jae
hai 'zahir' ek mard-e-sanjida
han jo aashufta-sar na ho jae