Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1338ebb2adaf189bf88e32eebdc9b3e1, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Rahta To Hai Us Bazm Mein Charcha Mere Dil Ka - Zaheer Dehlvi Poetry In English - Darsaal

Rahta To Hai Us Bazm Mein Charcha Mere Dil Ka

rahta to hai us bazm mein charcha mere dil ka

achchha hai ye achchha ho na sauda mere dil ka

hai josh-e-qalaq marka-ara mere dil ka

hangama hai dil par mere barpa mere dil ka

hai sair nigahon mein shabistan adu ki

kya mujh se chhupate ho tamasha mere dil ka

ek mashghala Thahri hai tumhein ranjish-e-beja

ek khel hua tum ko satana mere dil ka

be-KHud hun tasawwur mein kisi barq-e-ada ke

sarmaya-e-taskin hai taDapna mere dil ka

barbaad na jaegi 'zahir' apni musibat

aaKHir to kahin sabr paDega mere dil ka

(1039) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rahta To Hai Us Bazm Mein Charcha Mere Dil Ka In English By Famous Poet Zaheer Dehlvi. Rahta To Hai Us Bazm Mein Charcha Mere Dil Ka is written by Zaheer Dehlvi. Read famous Poem Rahta To Hai Us Bazm Mein Charcha Mere Dil Ka for youth and Student by Zaheer Dehlvi. Free Download Rahta To Hai Us Bazm Mein Charcha Mere Dil Ka in PDF.