Pan Ban Ban Ke Meri Jaan Kahan Jate Hain
pan ban ban ke meri jaan kahan jate hain
ye mere qatl ke saman kahan jate hain
sar agar jae to jae magar ai KHanjar-e-yar
sar se apne tere ehsan kahan jate hain
baad marne ke bhi miTTi meri barbaad rahi
meri taqdir ke nuqsan kahan jate hain
haal khulta nahin in KHwesh-faramoshon ka
roz ke roz ye mehman kahan jate hain
kis ki aashufta-mizaji ka KHayal aaya hai
aap hairan pareshan kahan jate hain
aaj kis munh se meri dil-shikani hoti hai
aaj wo aap ke mehman kahan jate hain
ai 'zahir' ab ye khula haal baDi dur hain aap
aap jate hain jahan dhyan kahan jate hain
(1636) Peoples Rate This