NaKHwat-e-husn Pasand Aai Hai Diwane Ko
naKHwat-e-husn pasand aai hai diwane ko
sar-kashi shama ki manzur hai parwane ko
dekhiye kaun si ja yar ka milta hai pata
koi kabe ko chala hai koi but-KHane ko
teri furqat mein tasawwur hai ye bedardi ka
KHwab hum jaante hain nind ke aa jaane ko
kaam aa jati hai ham-bazmi bhi raushan dil ki
shama ham-rang bana leti hai parwane ko
gul pe bulbul tha kahin shama pe parwana tha
hum ne har rang mein dekha tere diwane ko
wa-shud-e-dil na hui ghuncha-e-KHatir na khila
kaun se bagh mein aae the hawa khane ko
main ne jab wadi-e-ghurbat mein qadam rakkha tha
dur tak yaad-e-watan aai thi samjhane ko
(730) Peoples Rate This