Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8ebc6a8292a35bbac0e1ca269ca058b4, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kufr Mein Bhi Hum Rahe Qismat Se Iman Ki Taraf - Zaheer Dehlvi Poetry In English - Darsaal

Kufr Mein Bhi Hum Rahe Qismat Se Iman Ki Taraf

kufr mein bhi hum rahe qismat se iman ki taraf

shukr hai kaba bhi nikla ku-e-jaanan ki taraf

kuchh asiran-e-qafas ke baKHt hi bargashta hain

bu-e-gul phir phir gai ulTi gulistan ki taraf

dekhte mar kar kisi par lutf-e-umr-e-jawidan

kyun gae KHizr o sikandar aab-e-haiwan ki taraf

dekhiye kya gul khilae fasl-e-gul aati to hai

hath abhi se dauDte hain jaib o daman ki taraf

rashk kahta hai ki ponchhe honge us se ashk-e-ghair

hath uTh kar rah gaya sau bar daman ki taraf

(1099) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kufr Mein Bhi Hum Rahe Qismat Se Iman Ki Taraf In English By Famous Poet Zaheer Dehlvi. Kufr Mein Bhi Hum Rahe Qismat Se Iman Ki Taraf is written by Zaheer Dehlvi. Read famous Poem Kufr Mein Bhi Hum Rahe Qismat Se Iman Ki Taraf for youth and Student by Zaheer Dehlvi. Free Download Kufr Mein Bhi Hum Rahe Qismat Se Iman Ki Taraf in PDF.