Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_776abdcc56f2a05cc31c46fed559a157, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hath Se Haihat Kya Jata Raha - Zaheer Dehlvi Poetry In English - Darsaal

Hath Se Haihat Kya Jata Raha

hath se haihat kya jata raha

marne jine ka maza jata raha

zindagi ka aasra jata raha

hae jine ka maza jata raha

le gaya sarmaya-e-sabr-o-qarar

maya-dar ab sabr ka jata raha

umr bhar ki sab kamai luT gai

zist ka barg-o-nawa jata raha

dil agar baqi raha kis kaam ka

chain dil ka ai KHuda jata raha

zindagani ki halawat uTh gai

dana-pani ka maza jata raha

jo sahaara tha dam-e-darmandagi

wo buDhape ka asa jata raha

kijiye kis baat ki ab aarzu

aarzu ka muddaa jata raha

gul hua apna charagh-e-arzu

nur ghar ka ai KHuda jata raha

hae kaisa luT gaya bagh-e-murad

kya shajar phula-phala jata raha

roiye kya zindagani ko 'zahir'

maut ka bhi ab maza jata raha

(1181) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hath Se Haihat Kya Jata Raha In English By Famous Poet Zaheer Dehlvi. Hath Se Haihat Kya Jata Raha is written by Zaheer Dehlvi. Read famous Poem Hath Se Haihat Kya Jata Raha for youth and Student by Zaheer Dehlvi. Free Download Hath Se Haihat Kya Jata Raha in PDF.