Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_679791fc4fd2196a85bf429993cc5a0f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ham-nashin Un Ke Taraf-dar Bane BaiThe Hain - Zaheer Dehlvi Poetry In English - Darsaal

Ham-nashin Un Ke Taraf-dar Bane BaiThe Hain

ham-nashin un ke taraf-dar bane baiThe hain

mere gham-KHwar dil-azar bane baiThe hain

baat kya un se karun un ke uThaun kyun-kar

muddai bich mein diwar bane baiThe hain

na-tawani ne udhar panw pakaD rakkhe hain

wo nazakat se giran-bar bane baiThe hain

kya buri shai hai mohabbat bhi ilahi tauba

jurm-e-na-karda KHata-war bane baiThe hain

bewafai ke gile jin ke hue the kal tak

aaj duniya ke wafadar bane baiThe hain

wo hain aur ghair hain aur aish ke saman 'zahir'

hum alag sab se gunahgar bane baiThe hain

(1084) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ham-nashin Un Ke Taraf-dar Bane BaiThe Hain In English By Famous Poet Zaheer Dehlvi. Ham-nashin Un Ke Taraf-dar Bane BaiThe Hain is written by Zaheer Dehlvi. Read famous Poem Ham-nashin Un Ke Taraf-dar Bane BaiThe Hain for youth and Student by Zaheer Dehlvi. Free Download Ham-nashin Un Ke Taraf-dar Bane BaiThe Hain in PDF.