Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7b62cfbb3805bbb77952fe5a8ca13bc6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Gul-afshani Ke Dam Bharti Hai Chashm-e-KHun-fishan Kya Kya - Zaheer Dehlvi Poetry In English - Darsaal

Gul-afshani Ke Dam Bharti Hai Chashm-e-KHun-fishan Kya Kya

gul-afshani ke dam bharti hai chashm-e-KHun-fishan kya kya

hamare zeb-e-daman hai bahaar-e-gulsitan kya kya

kashud-e-matlab-e-ashiq ke hain lab par guman kya kya

ada-e-KHamushi mein bhar diya rang-e-bayan kya kya

faqat ek sadgi par shoKHiyon ke hain guman kya kya

nigah-e-sharmagin se hai nihan kya kya ayan kya kya

dil-e-KHun-gashta-e-hasrat ne kya kuchh gul khilae hain

bahaar-agin hai kuchh ab ki baras fasl-e-KHizan kya kiya

junun se kam nahin hai kuchh hujum-e-shadmani bhi

hawa-e-gul mein hai jame se bahar baghban kya kya

tasawwur mein visal-e-yar ke saman hote hain

hamein bhi yaad hain hasrat ki bazm-araiyan kya kya

chali aati hai itrai hui kuchh ku-e-jaanan se

basi hai rashk ki bu mein nasim-e-bostan kya kya

qadam rakhte nahin hain wo zamin par be-niyazi se

baDha jata hai yan shauq-e-sujud-e-astan kya kya

'zahir'-e-KHasta-jaan sach hai mohabbat kuchh buri shai hai

majazi mein haqiqi ke hue hain imtihan kya kya

(1238) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gul-afshani Ke Dam Bharti Hai Chashm-e-KHun-fishan Kya Kya In English By Famous Poet Zaheer Dehlvi. Gul-afshani Ke Dam Bharti Hai Chashm-e-KHun-fishan Kya Kya is written by Zaheer Dehlvi. Read famous Poem Gul-afshani Ke Dam Bharti Hai Chashm-e-KHun-fishan Kya Kya for youth and Student by Zaheer Dehlvi. Free Download Gul-afshani Ke Dam Bharti Hai Chashm-e-KHun-fishan Kya Kya in PDF.