Ghaugha-e-pand Go Na Raha Nauhagar Raha
ghaugha-e-pand go na raha nauhagar raha
hangama ek na ek mere baalin par raha
eajaz-e-dil-farebi-e-andaz dekhna
har har ada pe mujh ko guman-e-nazar raha
qasid bhi koi sabr-e-dil-e-na-shakeb tha
aate hi aate rah mein kam-baKHt mar raha
parhez-e-ishq se mujhe wahshat fuzun hui to
main kuchh dawa se aur bhi ranjur-tar raha
hai pa-e-harza-naz mein kya gardish-e-nasib
do din na chain se sar-e-shorida-sar raha
uTh uTh ke sath sath mere thak ke rah gaya
main kuchh tapish mein dard se betab-tar raha
(1014) Peoples Rate This