Dil Gaya Dil Ka Nishan Baqi Raha
dil gaya dil ka nishan baqi raha
dil ki ja dard-e-nihan baqi raha
kaun zer-e-asman baqi raha
nek-namon ka nishan baqi raha
ho liye duniya ke pure karobar
aur ek KHwab-e-giran baqi raha
rafta rafta chal base dil ke makin
ab faqat KHali makan baqi raha
chal diye sab chhoD kar ahl-e-jahan
aur rahne ko jahan baqi raha
karwan manzil pe pahuncha umr ka
ab ghubar-e-karwan baqi raha
mil gae miTTi mein kya kya mah-jabin
sab ko kha kar aasman baqi raha
miT gae ban ban ke kya qasr o mahal
nam ko ek la-makan baqi raha
aarzu hi aarzu mein miT gae
aur shauq-e-astan baqi raha
aish o ishrat chal base dil se 'zahir'
dard o gham bahr-e-nishan baqi raha
(1286) Peoples Rate This