Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2b806ba89fd1034163e4f05fc5a70da6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Bazm-e-dushman Mein Ja Ke Dekh Liya - Zaheer Dehlvi Poetry In English - Darsaal

Bazm-e-dushman Mein Ja Ke Dekh Liya

bazm-e-dushman mein ja ke dekh liya

le tujhe aazma ke dekh liya

tum ne mujh ko sata ke dekh liya

har tarah aazma ke dekh liya

un ke dil ki kuduraten na miTin

apni hasti miTa ke dekh liya

kuchh nahin kuchh nahin mohabbat mein

KHub ji ko jala ke dekh liya

kuchh nahin juz ghubar-e-kin-o-inad

hum ne dil mein sama ke dekh liya

na mile wo kisi tarah na mile

ghair ko bhi mila ke dekh liya

kya mila nala o fughan se 'zahir'

hashr sar par uTha ke dekh liya

(1115) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bazm-e-dushman Mein Ja Ke Dekh Liya In English By Famous Poet Zaheer Dehlvi. Bazm-e-dushman Mein Ja Ke Dekh Liya is written by Zaheer Dehlvi. Read famous Poem Bazm-e-dushman Mein Ja Ke Dekh Liya for youth and Student by Zaheer Dehlvi. Free Download Bazm-e-dushman Mein Ja Ke Dekh Liya in PDF.