Aise Ki Mohabbat Ko Mohabbat Na Kahenge
aise ki mohabbat ko mohabbat na kahenge
is aam inayat ko inayat na kahenge
kahiye to kahun anjuman-e-ghair ko rudad
kya ab bhi ise aap karamat na kahenge
samjhenge na aghyar ko aghyar kahan tak
kab tak wo mohabbat ko mohabbat na kahenge
jab arbada-ju tum ho to kyun sabr sameTen
hum is mein raqibon ki shararat na kahenge
hai yaad 'zahir' un ka shab-e-wasl bigaDna
wo talKHi-e-dushnam ki lazzat na kahenge
(1175) Peoples Rate This