Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7988744dfeba302b576481753c3e74fc, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Abhi Se Aa Gain Nam-e-KHuda Hain ShoKHiyan Kya-kya - Zaheer Dehlvi Poetry In English - Darsaal

Abhi Se Aa Gain Nam-e-KHuda Hain ShoKHiyan Kya-kya

abhi se aa gain nam-e-KHuda hain shoKHiyan kya-kya

meri taqdir ban ban kar badalti hai zaban kya-kya

mujhe gardish mein rakhti hai nigah-e-dil-sitan kya-kya

meri qismat dikhati hai mujhe nairangiyan kya-kya

nigahon mein haya hai aur haya mein hai nihan kya-kya

tabiat mein basi hain KHair se ranginiyan kya-kya

faqat ek sadgi par shoKHiyon ke hain guman kya-kya

ada-e-KHamushi mein bhar diya rang-e-bayan kya-kya

dil-e-KHun-gashta-e-hasrat ne kya kuchh gul khilae hain

bahaar-agin hai kuchh ab ki baras fasl-e-KHizan kya-kya

nigahen bad-gumani se kahan ja-ja ke laDti hain

meri aankhon mein hain dushman ki bazm-araiyan kya-kya

tasawwur mein visal-e-yar ke saman hote hain

hamein bhi yaad hain hasrat ki bazm-araiyan kya-kya

abhi se ban gai mushkil abhi to dur hai manzil

mujhe ruswa karengi dekhiye betabiyan kya-kya

wo jitne dur khinchte hain talluq aur baDhta hai

nazar se wo jo pinhan hain to dil mein hain ayan kya-kya

(1227) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Abhi Se Aa Gain Nam-e-KHuda Hain ShoKHiyan Kya-kya In English By Famous Poet Zaheer Dehlvi. Abhi Se Aa Gain Nam-e-KHuda Hain ShoKHiyan Kya-kya is written by Zaheer Dehlvi. Read famous Poem Abhi Se Aa Gain Nam-e-KHuda Hain ShoKHiyan Kya-kya for youth and Student by Zaheer Dehlvi. Free Download Abhi Se Aa Gain Nam-e-KHuda Hain ShoKHiyan Kya-kya in PDF.